Love SMS


Kahin chubh na jaye kanta tere paer me,
Asma jese kadmo me bichna chahta hu,
Kab se ruka hai ansuo ka sailab ankhon me,
Koi kandha mile sar rakhke rona chahta hun |



---------------



Rahunga main tumhare sath,
Hamesha parchayee bankar,
Tanha   job   bhi  hogi   tum,
To aa jaonga, tanhai bankar.



---------------



Ek teri yaad, yaad rahi,
Baki sab kuch bhul gaya.



---------------



Kuch paane ki abhilasha,
Kuch khone ka darr,
Inhi sab baton mien,
Kat jayega jivan ka safar.



---------------



Aaina-e-dil tuta sahi,
isme koi surat to hai,
aarzu unki khawab sahi,
khwab magar khubsurat to hai.



---------------



Kisi ko mohabbat me inkaar milta hai,
Kisi ko khud ka saya bekrar milta hai,
Kitne khushnasib hote honge vo log,
Jinhe pyar ke badle pyar milta hai.



---------------



Hmare pyar ke dayre hath se nikal gae hai,
Tum badal gaye ho, ya hum badal gaye hai,
Log khafa, dost preshan,sitare bujhe-2,
Tum kya badal gaye, sab badal gaye hai.



---------------



Ishq ka raz ankhon se bolna chahiye,
Darvaja palkon ka chupke se kholna chaiye
Shayd dil ke kisi kone me mil jaye khushi,
Kabhi-kabhi dil ko tatolnaa chahiye.



---------------



Pyar ka ek mujassam guldasta ho,
Manzil  ho  meri  tum  ya rasta ho,
Ho   chuka   ab  to  sauda  dil  ka,
Mahngaa   ho  chaahe   sasta   ho.



---------------



Mil kar bichad gaye pyar bhare dil,
Hai kitna asaan sab kahte hai mushkil,
Ab dhundhne par bhi nahi milte,
Ankhen band karke, jo jate the mil.



---------------



Faisla tum ko bhul jane ka,
Ik naya khwab hai diwane ka,
Phir rahe hai ab mare-mare,
Bada shauk tha dil lagane ka.



---------------



Jane kyun aisa hota hai,
Khushi me gam chupa hota hai,
Muskuraht ke katore mien,
Ansuon ka sailab bhara hota hai.



---------------



Jab kabhi dil udhas hota hai.
Tu  kahin  aaspaas hota  hai.



---------------



Aap  jo meharban ho jate,
Zamin  par  aasma  ho jate,
Rahon  me na hote gar aap,
Gum ye namonishan ho jate.



---------------



Zindgi kuch khafa-khafa hai aajkal,
Jo dard  tha  vo  dva  hai  aajkal,
Meri koi baat nahi, sah leta hun,
dard ko dard hone laga hai aajkal.



---------------



Aabad karo chahe barbaad karo,
Apni mohabbat se aazad karo.



---------------



Jab koi paas nahi hota,
Tab tum paas hote ho,
Jab tum paas hote ho,
Koi aur paas nahi hota.



---------------



Khuda ki banai kaynaat me,
Kya  kya  khub nazaare hai,
Judaai   me   magar   aapki,
Fike   ye   sab   saare   hai.



---------------









No comments:

Post a Comment